Sufi Planet

Meri Zindagi To Firaaq Hai

Written by Muhammad Arslan
Meri Zindagi To Firaaq Hai,
Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain,
Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi

Hamain Jaan Deni Hai Aik Din,
Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi
Hamain Aap Khainchiye Daar Par,
Jo Nahin Koi To Hameen Sahi
Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashr Ho,
Hamain Intezaar Qabool Hai
Wo Kabhi Milen,Wo Kahin Milen,
Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi
Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin,
Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hun,
Wo Mere Nahin, To Nahin Sahi
Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay,
Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay
Teri Anjuman Men Agar Nahin,
Teri Anjuman Ke Qareen Sahi
Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka,
Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi
Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai,
Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi
Meri Zindagi Ka Naseeb Hai,
Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai
Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai,
Wo Agar Nahin To Naheen Sahi
Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye,
Use Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Karainge Aap Sitam Wahan,
Wo Abhi Sahi, Wo Yaheen Sahi
Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi,
Tou ‘Naseer’ Dekh Hi Lainge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Hon,
Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi

– Naseer uddin Shah (R.A)


Facebook Comments