- Meri Zindagi To Firaaq Hai,
 - Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
 - Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain,
 - Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
 
- Hamain Jaan Deni Hai Aik Din,
 - Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi
 - Hamain Aap Khainchiye Daar Par,
 - Jo Nahin Koi To Hameen Sahi
 - Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashr Ho,
 - Hamain Intezaar Qabool Hai
 - Wo Kabhi Milen,Wo Kahin Milen,
 - Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi
 - Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin,
 - Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin
 - Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hun,
 - Wo Mere Nahin, To Nahin Sahi
 - Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay,
 - Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay
 - Teri Anjuman Men Agar Nahin,
 - Teri Anjuman Ke Qareen Sahi
 - Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka,
 - Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi
 - Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai,
 - Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi
 - Meri Zindagi Ka Naseeb Hai,
 - Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai
 - Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai,
 - Wo Agar Nahin To Naheen Sahi
 - Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye,
 - Use Hashr Par Na Uthaaiye
 - Jo Karainge Aap Sitam Wahan,
 - Wo Abhi Sahi, Wo Yaheen Sahi
 - Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi,
 - Tou ‘Naseer’ Dekh Hi Lainge Hum
 - Wo Hazaar Aankh Se Door Hon,
 - Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi
 
– Naseer uddin Shah (R.A)
